soch (a poetry in hindi )
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi thi
Kahaaniyo ki parchayi mein
Ek sham sochi thi
Aur us soch mein hi kahi
Ek fariyaad sochi thi
Sapno ke pankh laga kar
Ek umeed bhari udaan sochi thi
Usi udaan se khsitij ko pane
Ki choti si baat sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi thi
Cycle ke pahiyo ko ghumakar
Kahi dur chale jane ki sochi thi
Paani mein chalang laga kar
Dub kar par ho jane ki sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi thi
Gufaon se ho kar
Rasta miljane ki sochi thi
Andhero se lad kar
Roshini mein jeene ki sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi thi
Jab jeene ki koi wajah na ho
To marne ki wajah sochi thi
Khud se hi ladte hue
Khud ko manane ki sochi thi
Bas soch ki soch mein hi rehkar
Yeh soch sochi thi
Ki ek raah sochi thi
Ki ek baat sochi thi
Aur us soch ko dil mein chupakar
Bas jeeye jaane ki sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi th
Ek baat sochi thi
Kahaaniyo ki parchayi mein
Ek sham sochi thi
Aur us soch mein hi kahi
Ek fariyaad sochi thi
Sapno ke pankh laga kar
Ek umeed bhari udaan sochi thi
Usi udaan se khsitij ko pane
Ki choti si baat sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi thi
Cycle ke pahiyo ko ghumakar
Kahi dur chale jane ki sochi thi
Paani mein chalang laga kar
Dub kar par ho jane ki sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi thi
Gufaon se ho kar
Rasta miljane ki sochi thi
Andhero se lad kar
Roshini mein jeene ki sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi thi
Jab jeene ki koi wajah na ho
To marne ki wajah sochi thi
Khud se hi ladte hue
Khud ko manane ki sochi thi
Bas soch ki soch mein hi rehkar
Yeh soch sochi thi
Ki ek raah sochi thi
Ki ek baat sochi thi
Aur us soch ko dil mein chupakar
Bas jeeye jaane ki sochi thi
Ek raah sochi thi
Ek baat sochi th
Comments
Post a Comment