soch (a poetry in hindi )
Ek raah sochi thi Ek baat sochi thi Kahaaniyo ki parchayi mein Ek sham sochi thi Aur us soch mein hi kahi Ek fariyaad sochi thi Sapno ke pankh laga kar Ek umeed bhari udaan sochi thi Usi udaan se khsitij ko pane Ki choti si baat sochi thi Ek raah sochi thi Ek baat sochi thi Cycle ke pahiyo ko ghumakar Kahi dur chale jane ki sochi thi Paani mein chalang laga kar Dub kar par ho jane ki sochi thi Ek raah sochi thi Ek baat sochi thi Gufaon se ho kar Rasta miljane ki sochi thi Andhero se lad kar Roshini mein jeene ki sochi thi Ek raah sochi thi Ek baat sochi thi Jab jeene ki koi wajah na ho To marne...